Arz kiya hai.....
fasle bahut hain,par,itna maan lijiye,kareeb rehkar bhi har koi khaas nahi hota,
aap khayalon mein itne karib hain ki faaslon ka ehsaas nahin hota......
A collection of stories, anecdotes and other riff raff collected during my studies at Singapore.
1 Comments:
wah, wah....aapke iis shaer pe arz hai Razi Akhtar 'Shauq' kee ghazal:
ye kaun duub gayaa aur ubhar gaya mujh mein
ye kaun saaye kii surat guzar gayaa mujh mein
ye kis ke sog mein shoridaa-haal phirata huun
vo kaun shakhs tha aisa ki mar gaya mujh mein
[sog = mourning; shoridaa-haal = wretched condition]
ajab havaa-e-bahaaraa ne charaasaazi kii
vo zakhm jis ko na bharanaa tha bhar gaya mujh mein
[havaa-e-bahaaraa = winds of spring; chaaraasaazii = cure]
vo saath thaa to ajab dhuup chaanv rahatii thi
bas ab to ek hii mausam thahar gaya mujh mein
4:16 PM
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home